History of Hazrat Baba Bulleh Shah


Hazrat Baba Bulleh Shah ka 255th Urs.

Bulleh Shah jin ka asal naam Abdullah Shah tha Uch, Bahawalpur, Punjab main 1680 main paida huey. Bulleh Shah ne apni ibtedaee taleem Pandoke se hasil ki aur Higher studies ke liye Kasur chaley gaye,ye Moulana Mohiyuddin ke bhi shagird rahey, unke spiritual teacher Qadiri Sufi Shah Inayat Qadiri they.

In ke barey main musanifon ne likha hai ke agar har zabaan ke azeem shareon ki baat ki jaye tou Punjabi zubaan ke sab se barey shaer Bulleh Shah ka zarur shumaar hota hai. Bulle shah ko punjabi main jo makaam hasil hai wo kisi ko nhi.

Punjabi zabaan ke hi is azeem sufi shaer Hazrat Baba Bulleh Shah ke salaana Urs ki taqreebaat shuru ho gayi hain.
Ye Baba Bulleh Shah ka 255th urs hai jis ke liye DCO Kasur ne Mazaar ko ghusal de kar dubaara paak kia.

Is urs main androon e baroon mulki bare josho kharosh se shirkat kar rahey hain. Is ki taqreebaat main heer gaeki aur Mehfil samaa ke program kiye jayen gey.Zilaee intezamia ne Security ke Full proof intezamaat kiye hain.

Post a Comment

0 Comments